Hazrath Mohammed Mustafa Sallalahu Alayhi Wa Sallam ne baadshahane waqt ko khutoot likh kar islam ki taraf dawat di thi, isi tarah Hazrath Mehdi-E -Maood AS ne Sultan Mehmood begde (baadhshahe gujrat) ko Tasdeeq-E-Mehdi ki dawat di. Iske baad Sultan Mehmood begde ke bete Sultan Muzaffar sani ko bhi Tasdeeq-E-Mehdi ki dawat dete hue Hazrath Bandagi Miya Syed Khundmeer RZ ne ek mudallil khat rawana farmaya, iske alawa mulla moinuddin patni ko bhi jo apne waqt ka naamwar aalim guzra hai, dawat wo tableegh ke tehat ye risala Saboot-E-Mehdiyat me likh kar rawana farmaya" Ref: Intiqabul Mawaleed
Is kitaab ki tasneef ke waqt Hazrath Bandagi Miya Syed Khundmeer RZ zubaan se be saakhta bolte jaate the aur aap ke daamad wa Khalife Hazrath Bandagi Miya Malik Ji Mehdi RZ likhte jaate the" Ref: Khulasatul tawareekh jild 2